FLASHBACK..........Sometime back, in 2012, when I was still a child who was having fun with his life (Right now, I am in my teenages, with the baby Mr. SamDarsh around), on a nice rainy day, I managed to scribble some lines which may be called poetry.
COMING BACK......Today, while I returned from office,and I was parking my dear bike in my home, there was light drizzle in Sahastradhara (thanks to which, I did not have to water the flowers who are in utter neglect). Right then, I remembered my snippets of what should not be called a poem..........
So I decided to just share it with my faithful audience (some of whom, might have read it) and relax, coz this blog is tiny one:
Band baadlo me paav (legs) mozey ki giraft me nam hote hai...
aaj humne khushi se khule baadlo me paav nam kiya....
Deewaro se kabhi baat humne ki nahi,
Deewaro se....... kabhi baat humne ki nahi,
shayad shikayat hai unhe ki baarish ne unhe nam kiya....
Jo dekha humne parvato ko chhute kaale baadal,
aankho me aansuo ne waham kiya....
woh jo behta hai falak se aabshaar (waterfall) ki tarah,
mumkin hai arsh (sky) ne kuch bojh apna kam kiya.........
ab jo aaye ho to kuch tishnagee (thirst) mitao,
kahi shakhsaar(trees) shikwah na kare ki sirf hame hi nam kiya?
Be-nazeer yeh mausam hai zaroor,magar
Hunar kuch aapka bhi tha k aapne mujhko hum (together) kiya....
Band baadlo me paav mozey ki giraft me nam hote hai.......
aaj humne khushi se khule baadlo me paav nam kiya....

Jaisa ki pahle bhi andesha jataya ja chuka hai ki in "snippets of what should not be called a poem" ko pahle bhi kuchh logo ne padha hoga........to yaha ye bata diya jaye ki ham un "kuchh" me hai....waise in kareene se sajayi gayi subtle lines me se meri pasandida lines hai.....
ReplyDelete"Be-nazeer yeh mausam hai zaroor,magar
Hunar kuch aapka bhi tha k aapne mujhko hum (together) kiya...."
Aur ye lines kisko madde najar rakh ke likhi gayi hai ye batane ki jaroorat to nahi hai.....waise to yaha bhavnao ka "aabshaar" bah raha hai par phir bhi mishra ji se nivedan hai ki wo pathko ko bataye ki inme se unke bhavnaoo ke sabse kareeb kaun si lines hai.....:D
Aur ye "teenage" wale baat pe bhi spashtikaran apekshit hai......Janab! Teenage gaye to ek daur gujar gaya.....:D Khair, kavita ke alava ye bhigte haath ki jo tasweer lagi huyi hai sayed ye bhi aapke dwara hi kichi gayi hai.....
arey huzur, aaj kal aap internet ki duniya me pichhe reh gaye hai kisi thakele buzur budhau ki tarah.........khair zarra nawazish k liye shukriya..........is lekhni ki meri sabse pasandida lines ..........'deewaro waali line hai...........' teenage hum dil se hai, aur shayad isi teen age me rahenge hamesha........aap jaise buzurg is bhavnao ko samajh nahi paenge........ab samay ho aaya hai ki aap puranni reeti-riwazo-aur shikwo ko bhula kar nayi peedhi se khud ko jor le............welcome to facebook :)
ReplyDelete